Showing posts with label Holi. Show all posts
Showing posts with label Holi. Show all posts

Friday, 26 March 2010

aa..ra...ra..raa...holi aYiii



Holi aayi holi aayi,
rang birangi holi aayi.

lipe pute ghar aangan dekho,
jaade ki ho gayi vidaayi.

sach ke liye aanch mein tapanaa,
aur jhooth ki aanch udaana.
yug yug se bas yahi sandeshaa,
dene ko fir holi aayi.

sach ke sapane rang-rang ke,
jhooth-koyala dahakaa kaala.

bujhaa raakh ban mila dhool mein,
sach ka rehata roop niraala.

sach par maranaa amar banaata,
yahi bataane holi aayi.