Sunday, 3 August 2008

Meri Maa

Sabse pyaari, sabse nyaari,
kitni bholi bhaali maa.

tapti dopahari mein jaise,
sheetal chhaiya waali maa.

mujhko dekh-dekh muskaati,
mere aanshu sah na paati.
mere sukh ke badle apne,
sukh ki bali chadati maa.


iski 'mamata' ki paawan,
mithi boli hai mann bhaawan,
kaanto ki bagiya mein sundar,
phoolon ko bikhraati maa.

iska aanchal nirmal ujjawal,
jisme hain, nabh - jal -thal.
apne shubh aashishon se,
hum ko sahlaati maa.

maa ka mann na kabhi dukhaana,
hardam isko shish jhukaana,
iss dharti par maata bankar,
ish kirpa barsaati maa.

prembhaav se milkar rehana,
aadar sabhi bado ka karna,
sewa, simran, satsang waali,
sachchi raah dikhaati maa.

sabse bholi sabse pyari,
sabse nyaari meri maa.



No comments:

Post a Comment