Sunday, 23 August 2009

Agar MAI nETA hota...


Agar MAI NeTA  hota,
Toh kya hota toh kya hota.

Roz nayi yojna banata,
roz naye vaqtavya chhapata,
roz naye order nikalkar,
Theke, Theke apno ko dilwata.

Sadak todkar baandh banata,
baandh todkar nadi bahata.
Tab mai uski jaanch karata,
jaanch karakar mai kya pata,
wah mai tumko nahi batata.

Par yah sab toh tab hi hota,
Jab mai neta hota. 

No comments:

Post a Comment