Tuesday, 26 October 2010

Deepawali ,_;_,



Sone ki baati, chaandi sa ujaala,
deepawali ka parv hai matwaala.

bam phate aur chale pataakhe,
roshani se mund-mund gayi aankhein.

amaavas ka dhula daag kaala,
deepawali ka parv matwaala.

fasal aayi ghar subh yahi laabh,
hisaab naye shuru yahi rang  aam.

badhaayi mithaayi ka chala hai daur,
saaf swachhata hai har thaur.

naya calender ye batlaata,
deepawali ka parv hai matwaala.



No comments:

Post a Comment