Sone ki baati, chaandi sa ujaala,
deepawali ka parv hai matwaala.
bam phate aur chale pataakhe,
roshani se mund-mund gayi aankhein.
amaavas ka dhula daag kaala,
deepawali ka parv matwaala.
fasal aayi ghar subh yahi laabh,
hisaab naye shuru yahi rang aam.
badhaayi mithaayi ka chala hai daur,
saaf swachhata hai har thaur.
naya calender ye batlaata,
deepawali ka parv hai matwaala.
Deepon ki pankti mein hansti,
diwali ki raat hai aayi.
Deepa, Raju ne mil-jul kar,
ghar, aangan ki kari safaayi.
pooja ki thali mein sajte,
mewa, kumkum, phool, mithaayi.
phooljhadi naache matwaali,
naache firki aur hawaayi.
khil khil karte hanse anaar,
bambon ne hai dhoom machaayi.
punya sada jeet hai jag mein,
yahi to hai atal sachchayi.
prem pyar ka bhaav bataati,
diwali ki raat hai aayi.