Friday, 31 December 2010

Underwear Friend's :P

(...Dedicated to ma friend Amit & Vimlesh...d bst buddies evr...)


Every time I see you,

my heart melts with happiness.
You make me laugh.
You make my heart sing.

Every time you talk to me,
I feel speechless.
Your voice is soft and sweet to me.
It calms me in the worst of times.

Every time you smile at me,
I want to smile too.
You brighten a dark day.
You make the sun come out from behind the clouds in my heart.

Now, you're gone.

My heart is broken.
Everything is crashing down on me.
I need someone to take this weight off my shoulders.
I need someone to dry my tears.

Why did you have to go?
I need you.
I need your love.
Life seems impossible without you.

You are my sunshine.
Now, the rain is pouring down.
The clouds are black.
A storm is approaching.

Without you I am nothing.
I need you to tell me that you love me.
To hold me in your arms again.
I need your comfort.

Even though you are gone.
Even though you have moved on,
I will always love you.
You will stay forever in my heart.

Tuesday, 26 October 2010

Deepawali ,_;_,



Sone ki baati, chaandi sa ujaala,
deepawali ka parv hai matwaala.

bam phate aur chale pataakhe,
roshani se mund-mund gayi aankhein.

amaavas ka dhula daag kaala,
deepawali ka parv matwaala.

fasal aayi ghar subh yahi laabh,
hisaab naye shuru yahi rang  aam.

badhaayi mithaayi ka chala hai daur,
saaf swachhata hai har thaur.

naya calender ye batlaata,
deepawali ka parv hai matwaala.



Saturday, 23 October 2010

Raaste abhi aur bhi hai



Khwabon ki duniya sajaakar,
dhokhe bahut khaye hai.
Tabhi ek aawaaj ayi,
Soch mein ab kyon pada hai.
Jindagi ke raaste mein,
Sochna abhi aur bhi hai.
Karm ki rahon par chal le,
Raaste abhi aur bhi hai.


Dur najrein kyon gadhaye,
duniya chamakti ret si hai.
Paas jaakar dekh usko,
yeh chamak bhi khokhli hai.
Ek raasta band hua toh,
Dusra abhi aur bhi hai.
Karm ki raahon par chal le,
Raaste abhi aur bhi hai.


Kamal bhi keechad mein khilta,
dekh usko tu badal ja.
Koyale ki khan mein bhi,
heere ki talaash kar ja.
Kya hua jo na mila toh,
Ek heera aur bhi hai.
Karm ki raahon par chal le,
Raaste abhi aur bhi hai.


Unchaaiyon se khafa hai kyon,
baat chal le ye batohi.
Tu nigaahein yun gadha le,
Najar aaye rah teri.
Doraha pe khada toh kya,
ek raasta aur bhi hai.
Karm ki raahon par chal le,
Raaste abhi aur bhi hai.


Jindagi ke mod tedhe,
chal sambhalkar ye batohi.
Karm karke raah banaa le,
yeh raah aasaan hogi.
Le shapath tu aaj se hi,
karm hi teri jindagi hai.
Karm ki raahon par chal le,
raaste abhi aur bhi hai.


Kyon bhatakta man hai tera,
khwaabon ke aansu kyon chhalakte.
Iss duniya se bahar aakar,
ek duniya fir basaa le.
Ek Akela tu nahi hai,
duniya mein kayi aur bhi hai.
Karm ki raahon par chal le,
raaste abhi aur bhi hai. 



Friday, 15 October 2010

Went


You took chances
Once too many times.
As a child you thought -
"Oh no, never me."
Life is a gift,
Given and taken at some
Unknown time.
Your time came too soon -
Your life was over in a flash.
The fun you shared,
The joy you brought,
All just a memory -
Behind us.

Sunday, 5 September 2010

Rakhi

Aaya rakhi ka tyohaar,
dekho bhaayi bahan ka pyaar,
kitni paawanta laaya hai,
baandh ke patla taar.

behana hansti muskaati,
aur pooja ka thaal sajaati,
bhaiya ki umar ho baras hazaar,
aaya rakhi ka tyohaar.

bhaiya deta yeh vachan,
raksha mein tan, mann, dhan,
jeevan bhi dega vaar,
aaya rakhi ka tyohar.

jaati dharm nahi vyavdhaan,
jaisi dharati khula aasmaan,
dhoop-chandani sa barse pyaar,
aaya rakhi ka tyohaar.

Sunday, 22 August 2010

Vote Ki Bhik..de de



Chunaao ka saal hai,
satta ka kamaal hai,
har neta behaal hai,
paanch-saala sawaal hai,
de de baba........

VOTE de ki desh khush-haal bane,
hamaare khaane-peene laayak bhaal bane,
jis se aur moti hamaari khaal bane,
jaa tere ghar mein hamesha roti daal bane,
teri roji-roti tere liye jangaal bane,
hum kroron mein khelein tu kangaal bane,
teri haalat aur bhi fate haal bane,
lekin iss waqt tu saakshaat mahaakaal hai,
de de baba................

VOTE de ki hum apni tijoriyaan bhar sakein,
saat pushton ke sukh ka samaan kar sakein,
jaa tu na ji sake na mar sake,
kuchh karna bhi chaahe to na kar sake,
paanch saal tak tu sirf saans bhar le sake,
lekin iss waqt samsyaa vikraal hai,
de de baba......

VOTE de ki paanch saal muh naa dikhaayenge,
tu bulaayega to bhi hargij naa aayenge,
apne waadon ki tarah tujhe bhi bhool jaayenge,
apni mann-maani nitiyon se desh ko chalaayenge,
lekin fikr naa kar paanch saal baad fir aayenge,
hey kirpa nidhaan hamse kaisa malaal hai,
de de baba, VOTE ka swaal hai. 

Monday, 26 July 2010

Netaji...straight to hell

Neta ji swarg sidhaare

Neta ji swarg sidhaare,
sabhi jaali Stamp ppr lekar sidhe wahin padhaare.

padhaarte hi commission  par bhaashan dene lage,
swargwaasiyon ko SWISS BaNKka pataa dene lage.

kuchh hi ghanto mein  neta ji ka bol-baala barh gaya,
neta ji ki jai-jai kaar hui, Indra ka singhaashan hil gayaa,

singhaashan ke hilte hi Indra ghabra gaye, aur
ye soch kar pralaap karne lage-Prabhu humein neta se bachaao,
isko narak ka mantri banaao,
ye naa to JAIL se darta hai,
har dum bhaashan hi charta hai,
zidd par utar aaye to aamran ann-shan par baith jaayega,
swarg mein bhi dange karwaayega.

Prabhu ye aisa praani hai,
jo prithvi aur swarg mein smaan roop se rah sakta hai,
jhuth ko sach aur sach ko jhuth kar sakta hai.

Yeh hamaara baaja bjaa dega,
aapke saamne hi humein narak ka raja banaa dega,
Iss bhayankar AIDS ki bimaari se humein bachaao,
Indra ki kursi par neta na baithaao.